EKTARFA - King
EKTARFA Lyrics
VERSE 1
Tu Firse paas aa main zidd nahi karunga,
Tu Firse door ja main kuch nahi kahunga,
jo tere jaane se mein betha hun mekhane mein
mein kha chuka hun dhoka peene se nahi marunga.
Jo tujhse seekha hu,tujh hi pe to likhunga
Jo tujhko chahunga,tujh hi pe to mitunga
jo haske aunga main fir se tere samne,
hu napasand bta diyo main fir nahi dikhunga.
maine dekha tujhme saadgi rahi nahi,
maine dekha tune koshishe bohot kari,
kehe jo tujhko apne hatho se saja dun
hai kami tu pehne bohot fir bhi lagta kyu saji nahi.
aaj bhi aise dekhe mene dayere nahi,
Ke tujhse baantlun mein khudko kehdun aa rahe nahi,
hai tujhse milne,
bewafa hi the jo haske keh diya,
ke hum bhi dhokhe kha rahe nahi.
jo firse dekha meri ruk chali kalam thi
dil dhadakta,aankhen bheegi,
baatein tang thijo tujhko socha mera poora ek janam thi
jab tujhko dekha kisi or ki sanam thi
Dil to dukhta hai par jeena padhta hi hai,
Suraj se chaand bhi akele ladhta hi hai,
Main kitna bhoolun kissa tera adta hi hai,
Jo kardein fasla to pyaar badta hi hai
Verse 2
gaane to chal rahe par baat teri meri hai,
chirag bujh gaye par raat teri meri hai,
hua vo ek na jo sath janam ka wada tha
to iss sadi main jana kya aukat teri meri hai?
Mana main sab hi kuch jeeta kuch bhi hara na,
Par jisko hara usko dekha fir dobara na,
Jo dhas gaya hun jaake raet mein main aankhon tak,
Tu hai samundar mujhpe boond ka sahara na.
na mujhse puch mere haal kya sitaro ka,
na dum tu kha ye aake noto ki deewaro ka
,hai paisa kya tu chhoti baatein na kiya kar,
main bss pyar se gareeb,
mujhko mol na hazaro ka
Jo mujhse puch le tu rasta baharon ka,
to haske kehdu tu nazara meri aankho ka
main jisko kosne chala hun uska naam yaad fir bhi likh na pana dosh kaam hai gawaro ka.
Verse 3
Jo tujhko dekha asma mein chand tha nai,
Kahi pe chupp gaya ke kehta lagta nahi,
isse haseen mene dekha kahi kuch ke log yu hi likhte rehte mujhpe aye khuda mein chand nahi.
ye tere reshmi jo baal jaal sazi hai,
mara nahi par jeete ji tu meri fasi hai,
daba nahi gala kyu sanse meri ghut rahi,
main kya hi du saza ja teri har saza hi maafi hai.
Mujhe khabar nahi tu kis zuban mein razi hai,
Dikhe asar nahi tu kis dua mein baaki hai
agar kabhi main tere samne se guzru,
mujhko mil tu ya nahi par teri ek nazar hi kaafi hai.
Ektarfa main naam bhi bana lunga
Ektarfa mein naam bhi chhupa lunga
Ek arsa jo beete teri yaado mein,
main hoke mashhoor tujhpe zindagi lutadunga.
Performed by : King Lyrics by : King Music Producer : Aakash Mix & Masterred by : Mix by Hanish 2022